"Salaam Alaykum Question: Quran main Sajda Wali Ayat Ajai tau osi waqat sajda karna ho ga ya baad main bhi kar sakte hain. Aur agar 2 ya 3 Sajde wali ayat ajain tau har aik ayat ka sajda ho ga ya sirf aik hi sajda kafi hai. Sajda ka tareeqa kia ho ga?"

Quraan e Majeed k wajib Sajda wali Ayat insaan parhay ya sunay to aayat khatam honay ke baad foran sajda karna zaroori hai aur agar sajda karna bhool jaye to jab bhi usay yaad aaye sajda kare aur zahir yeh hai ke aaya e sajda ghair ikhtiyaari haalat mein sunay to sajda wajib nahi hai, agarchi Behtar yeh hai ke sajda kya jaye . Har Aayat ky liye alag alag Sajda karna Waajib hay. Ehthyat e wajib yeh hai ke quran Majeed ke wajib sjday mein insaan apni peshani sajda gaah ya kisi aisi cheez par rakhay. jis par sajda karna sahih ho aur ahthyat mustahib ki bana par badan ke dosray aaza zameen par is terhan rakhay. jis terhan namaz ke sajday ki haalat me karty hen. Tareeqa:_ jab insaan quran Majeed ka wajib sajda karne ke iraday se peshani zameen par rakh day to khuwaah woh koi zikar nah bhi parhay tab bhi kaafi hai aur zikar ka parhna mustahib hai. aur behtar hai ke yeh parhay : "لآَ اِلٰہَ الاَّ اللہُ حَقّاً حقّاً، لآَ اِلٰہَ اِلاَّ اللہُ اِیماَناً وّتَصدِیقاً،لآَ اِلٰہَ الاَّ اللہُ عُبُودِیَّۃً وَّرِقاً، سَبَحتُّ لَکَ یَارَبِّ تَعَبُّدًا وَّرِقّاً، مُستَنکِفاً وَّلاَ مُستَکبِرًا، بَل اَنَا عَبدٌ ذَلِیلٌ ضَعِیفٌ خَآئِفٌ مُّستَجِیرٌ"