Who We Are


Aaj ke daur mein print, social aur electronic media par ghair dinee anasir ka control hai aur woh ghalat, fasid aur ikhlaq soaz batoo aur manazair ko is andaaz se paish karte hain ke har tabqa is ghair islami saqafat aur tehzeeb ko pasand karne lagta hai, muashray ko is saqafati yalghar se bachana deendar tabqay ki awleen zimma daari hai. In ghair dinee anasir ko jadeed aur muasar zaraye se hi shikast day kar muasharti aqdaar ko bachaya ja sakta hai.

Is silsilay mein mumlikat e khudadad Pakistan mein Ustazul Ulama Sheikh Mohsin Ali Najafi Daam Izah ki sarparasti mein dinee, Ilmi , saqafati, tablighati sar garmion aur masharti behbood mein Jamiatul Alkauthar, Islamababad aik jehed musalsal ka namona nazar aata hai jo ke dinee o asri taleemi idaron ka qiyam aur electronic media (Hadi TV Satellite Channel) kay zariye saqafati yalghaar ka muqaabla aur senkron behbood aama ke mulak geer iqdamaat kar raha hai. Inhi iqdamaat mein aik qadam deen fehmi aur talemaat e Quran o Ahlulbait (AS) aur maarif e Islamia se aagahi haasil karne mein momineen ki madad aur sahoolat ke liye Hadi Help Line ka qiyam hai. Jahan aap apne dinee aur fiqhi sawalaat bhaij kar bohat aasani se jawab haasil kar satke hain.

Our Commitment


Aap ke masail ka hal aur sawalaat ka jawab bar waqat dena hamari awaleen tarjeeh hai aur is ke liye tamam mumkina wasail barooay kar laaye jatay hain.

Hamaray Ulema e karam tamam sawalaat ke jawabaat aur masail ke hal Ayema Athaar (AS) say manqool ahadees aur Maraji Uzam kay fatawa ki roshni mein intehai zimma daari se dete hain.

Aap ke masail ka hal aur sawalaat ka jawab bar waqat dena hamari awaleen tarjeeh hai aur is ke liye tamam mumkina wasail barooay kar laaye jatay hain. Hamaray Ulema e karam tamam sawalaat ke jawabaat aur masail ke hal Ayema Athaar (AS) say manqool ahadees aur Maraji Uzam kay fatawa ki roshni mein intehai zimma daari se dete hain.

Official Address
WhatsApp
(+92) 346 512 1270