زکواۃ سالانہ دینا واجب ہے یا ماہانہ ۔زکواۃ کن چیزوں پر واجب ہے کیا تنخواہ پر بھی زکواۃ ہے؟مقدار زکواۃ کیا ہے ۔ بینکوں سے منافع لینا جائز ہے؟

Mandarja Zail Chizoon par Zakaat waajib hey: 1. Geehon 2. Jo 3. Khajoor 4. Kishmish 5. Sona 6. Chandi 7. Ount 8. Gaaye 9. Bheir, Bakri 10. Ehthyat lazim ki benaa par maal Tijarat. *Geehon, Jo, Khajoor aur Kishmish par Zakaat us waqt wajib hoti hai jab woh Nisaab ki had tak pahonch jayen aur un ka Nisaab 300 Saa (صاع) hai jo aik giroh ( ulama ) ke ba-Qol taqreeban 847 kilo hota hai. *Sonay ka 2 Nisaab hey: (1) is ka pehla nsaab 20 Misqaal e sharai hai, jab ke har Misqaal e sharai 18 Nukhud ka hota hai, pas jis waqt sonay ki miqdaar 20 Misqaal sharai tak jo aaj-kal ke 15 Misqaal ke barabar hotay hain pahonch jaaye aur dosri sharait bhi poori kere to us par Zakaat wajib hota hey. (2) Aur is ka dosra Nnsaab 4 Misqaal e sharai hai jo aaj-kal ke 3 Misqaal ke barabar hotay hain yani agar 15 Misqaal par 3 Misqaal ka izafah ho jaye to zaroori hai ke tmamtar 18 Misqaal par Zakaat day aur agar 3 Misqaal se kam izafah ho to zaroori hai ke sirf 15 Misqaal par Zakaat day. *Chandi ke nisaab 2 hain : (1) pehla Nisaab 105 murawaja Misqaal hai lehaza jab chandi ki miqdaar 105 Misqaal tak pahonch jaye aur woh doosri sharait bhi poori karti ho to us par zakaat waajib hogi. (2) Aur is ka dusra Nisaab 21 Misqaal hai yani agar 105 Misqaal par 21 Misqaal ka izafah ho jaye to zaroori hai ke jaisa ke bataya ja chuka hai poooray 126 Misqaal par Zakaat day aur agar 21 Misqaal se kam izafah ho to zaroori hai ke sirf 105 Misqaal par Zakaat day. *es k elawa Ount k 12 Nisaab hein: 1. 5 Ount 2. 10 Ount 3. 15 Ount 4. 20 Ount 5. 25 Ount 6. 26 Ount 7. 36 Ount 8. 46 Ount 9. 61 Ount 10. 76 Ount 11. 91 Ount 12. 121+ Ount *Gaaye ka Nisaab 2 hein: 1. 30 Gaaye 2. 40 Gaaye *Bheir k 5 Nisaab hein: 1. 40 Bheir 2. 121 Bheir 3. 201 Bheir 4. 301 Bheir 5. 400+ Bheir *esi tarah Maal e Tijaarat par bhi chand sharaait k sath zakaat waajib hey. in tmam cheezoon par sey zakaat kitni miqdaar nikaalni hey jaanney k liye Risaala e Amaliya ki taraf Rujoo farmaayen. Banks sey Munaafa lena Jaaiz hey.