Ghusl e Jinaabat anjam dene ka sahi tareqa Bayaan karen, Meherbani hogi.

Ghusal e Jinabat do tareeqon se anjaam diya ja sakta hai; Tarteebi aur Irtimaasi: Ghusal e Tarteebi : Tarteebi Ghusal mein ehthyat lazim ki bina par ghusal ki Niyat se pehlay poora Sir aur Gardan aur baad mein Badan dhona zaroori hai aur behtar yeh hai ke Badan ko pehlay Daayen taraf se aur baad mein Baayen taraf se dhoye. Ghusale Irtimaasi: Irtimaasi Ghusal do tareeqay se injaam diya jaa sakta hey: 1. Dafei, 2. Tadreeji Ghusal Irtimaasi e Dafei mein zaroori hai ke aik lamhay mein poooray badan ke sath pani mein dubki lagaye, lekin ghusal karne se pehlay 1 shakhs ke saaray badan ka pani se bahar hona mooatbar nahi hai. balkeh agar badan ka kuch hissa pani se bahar ho aur ghusal ki niyat se pani mein ghouta lagaye to kaafi hai . Ghusal e Irtimaasi e Tadreeji mein zaroori hai ke ghusal ki niyat se aik dafaa badan ko dhoney ka khayaal rakhtay huwe aahista aahista pani mein ghouta lagaye. is ghusal mein zaroori hai ke badan ka poora hissa ghusal karne se pehlay pani se bahar ho.