مہر کی کم از کم اور زیادہ سے زیادہ مقدار کتنی ہونی چاہے ۔ آجکل لوگ زیادہ مہر رکھتے ہیں اس کی شرعی حثیت کیا ہے؟

Mahar ki kam az kam itni miqdar mien hona chahiye keh us par maaliyat sidiq aa jaaye.(yani us mahar ko mal kaha jaa sakey) Ziyaada Mahar ki koyi miqdar muayyan nahi ki gayi hey. Laikin Seerat Rasool e akram aur Ayimma e Athaar me mahar ki miqda kam honi chahiye. Agar Shadi aur is se mutaliq masail mei Maadiyat ko Markazi Hesiyat haasil ho to do roohon ka yeh milaap aur do insanon ke dharaktey dilon ke ehsasat o jazbaat ka yeh Rishta Maadi Muamlay mein tabdeel hojaye ga. Esi liye Shariyat mein humein Hukum dia gia hey keh Mahar ko kam rakha jaaye. aur yeh kam rakhna Mahr-e-Sunnat hey.