Bank me job k bary kia kahty hein..is me sood hi sood he???

Bank ke kaam do qisam ke hain : 1. haraam kam : jaisay soodi kam ko injaam dainay mein vaasta ban-na, is ko likhna, is par Gawaah ban-na, Lainay walay key Haq mein sood daryaft karna, esi tarah har woh kam jo soodi Shirkat (idaara) ke sath kia jaye ya woh Shirkat jo sharaab ki tijarat mein mashghool ho, jaisay un ke shares bechna un ki L.C. kholna, yeh saaray kam haraam hain aur is department mein Kaam karna haram hey aur ujrat lainay ka haq daar nahi hoga. 2. oopar bayan kiye gaye kam ke Elawah baqi saaray kam halal aur uski ujrat (income) bhi‬ Halal hai.