خمس کن چیزوں پر واجب ہےاورزکوٰۃ کن چیزوں پر؟

نقل حرفی *Khums saat (7) cheezon par Wajib hai: 1- kaarobar ( ya rozgaar ) ka munafe 2- maadni kanin 3- gara howa khazana 4- halal maal jo haraam maal mein makhloot ho jaye 5- ghouta khori se haasil honay walay samandari moti aur mongay 6- jung mein milnay wala maal ghanemat 7- mashhoor qoul ki bana par woh zameen jo zammi kafir kisi musalman se khareeday. *Zakaat chand cheezon par wajib hai: 1- Geehon 2- Jo 3- Khajoor 4- Kishmish 5- Sona 6- Chandi 7- Ount 8- Gaaye 9- Bhair Bakri 10- Ehtiyat Lazim ki bina par Maal-e-Tijarat.