وضو سے پہلے اگر بالوں پر تیل ہو تو کیا مسح کرسکتے ہیں؟

Jis jagah ka Masah karna ho woh khushk honi chahiye. Agar woh is qader Tar ho keh hatheli ki Tari is par assar nah karey to Masah Baatil hai Lekin agar is par Nami ho ya tri itni kam ho ke woh hatheli ki Tari se khatam ho jaye to phir koi harj nahi. Aur agar Tari (Tail ya nami) itni ziyaada ho ke Pani pohnchney mein Maani ban jaaye to Masah Durust nahi.