please shia wazooh aur namaz ka tarika bta dain.

WOZOO KA TAREEQA: wuzu mein wajib he keh chehra aur dono haath dhuain jayen aur sir ke aglay hissay aur dono paon ke samnay walay hissay ka maseh kya jaye . -Chehray ko lambai mein peshani ke oopar is jagah se le kar jahan sar ke baal ugtey hain, thorhee ke aakhri kinare tak dhona zurori hai, aur chorai mein beech ki ungli aur angothay ke phailaav mein jitni jagah aajay usay dhona zurori hai. aur agar ensaan ko yeh yaqeen nah ho keh zurori hissa poora dhul gaya hai to yaqeen karne ke liye thora thora idhar udhar se dhona bhi zurori hai . -Chehra dhoney ke baad pehlay dayan haath aur phir baayaan haath kohni se unglio ke siron tak dhona chahiye. -Dono haath dhoney ke baad sar ke aglay hissay ka Masah wuzu ke pani ki is tri se karna chahiye jo hathon ko lagi reh gayi ho. -Sar ke Masah ke baad wuzu ke pani ki is tri se jo hathon mein baqi ho paon ki kisi aik ungli se le kar paon ke joor tak Masah karna zurori hai. NEMAAZ KA TAREEQA: nemaaz ka tareeqa bohot lamba hey, jaanney k liye Tozeeh-ul-Masaail Ayat-ul-Allah Sistani (mza), Mas-ala No.951 aur us k bad k masaail mulaahza farmaayen.