Aik orth nay es ramazan ko apny bachy ki paydaeesh ki waja say roza nahi rakha tho abh wo es saal qaza anjam nahi day sakhti feeding ki waja say .abh saal guzarny par kafara kiya hay or kis ko day kiya sharaeth hay.us ka bayta 7 month ka hay.

Jis aurat ka waza-e-haml ka waqt qareeb ho us ka roza rakhna khud is ke liye ya us ke honay walay bachay ke liye Muzir ho, is par roza wajib nahi hai aur zarori hai ke woh har din ke ewaz aik mudd ta-aam faqeer ko day aur zurori hai ke dono sooraton mein jo rozay nah rakhay hon un ki qaza bajaa laaye. Jo aurat bachay ko doodh plati ho aur us ka doodh kam ho khuwaah woh bachay ki maa ho ya daya, aur khuwaah bachay ko muft doodh pilaa rahi ho, agar us ka roza rakhna khud un ke ya doodh peenay walay bachay ke liye muzir ho to us aurat par roza rakhna wajib nahi hai aur zurori hai ke har din ke ewaz aik Mudd Ta-aam faqeer ko day aur dono sooraton mein jo rozay nah rakhay hon un ki qaza karna zurori hai . 1 Mudd Ta-aam ki Miqdaar taqreeban 750 Gram hy. 1 Roza k badley men 1 Mudd Ta-aam Faqeer ko dena Zaroori hy.