Hamaary Gaawon men Dairh kilometer k andar 2 (Tow) Jummay hoty hen in men sy konsaa Saheeh hay? Baraaye Meherbaani as Masaley men Hamaari Madad Karen.

jummay ki 2 (Tow) namazon ke darmian aik farsakh se kam faasla nah ho. pas jab jummay ki doosri namaz aik farsakh se kam faaslay par qaim ho aur do namazain aik (one) waqt men parhi jayen to dono baatil hon gi aur agar aik namaz ko doosri par Sabqat haasil ho (Yani un do Jumay me sy aik Jumma Pehly shuru hua ho) khuwa wohTakbeerat-ul-Ehraam ki hadd tak hi kyun nah ho, to woh (namaz jisay Sabqat haasil ho) sahih hogi aur doosri baatil hogi. Lekin agar namaz ke baad pata chalay ke aik farsakh se kam faasla par jummay ki aik aur namaz is namaz se pehlay ya is ke sath sath qaim hui thi to Zahar ki namaz wajib nahi hogi aur is se koi farq nahi parta ke is baat ka ilm waqt mein ho ya waqt ke baad ho. Aur jummay ki namaz ka qaim karna mazkoorah faaslay ke andar jummay ki doosri namaz qaim karne mein is waqt Maanie hota hai jab woh namaz khud sahih aur Jaami-us-sharaait ho. Warna is ke Maanie honay mein ishkaal hai aur ziyada ihtimal is ke Maanie nah honay ka hai .