salam ,ji agr mn namaz mn qnot mn due zahor prhana shoro kr don to kia yeh namaz mn apni marzi se rado badal ni ho ga.es trha to tashud mn ali un wali ullah prhny walay kahein gy k ap ne qnot mn dua shamil ki r ham ne tashud mn.to hmein q mana krty hn?kia due zahor prhany k bary mn koi rawaiatein moujod hn.

Qunoot Mustahab hey, aur Tashahhud Wajib hey. Qunoot men koyi bhi Dua parhni hey, aur Dua-e-Zahoor bhi in duawoon mein shamil hey, Shariat ney koyi dua mukhtas nahi ki hy Qunoot mien parhney k liye, to humien koyi bhi Jaiz hajat k liye dua krny ki ijaazat hey. Laikin Tashahhud mein Shariat ney hi Khas dua ki taleem di hey humein Tashahhud mein parhney k liye, aur jab mukhtass hey to koyi us mein tabdeel nahi kr sakta.