Tayamum ka tareeka kia hai?

Wuzu ya Ghusal ke badlay kiye jane walay tayammum mein chaar(4) cheezein wajib hain : 1- Niyyat . 2- Dono hathelion ko aik sath aisi cheez par maarna ya rakhna jis par tayamum karna sahih ho. aur Ehtiyat lazim ki bina par dono haath aik sath zameen par maarny ya rakhnay chahiye . 3- Poori peshani par dono hathelion ko pherna aur esi tarah Ehtiyat lazim ki bina par us maqam se jahan sir ke baal ugte hain Bhanowun (بھنووں) aur naak ke upar tak peshani ke dono taraf dono hathelion ko pherna, aur Ehtiyat mustahib yeh hai ke haath Bhanowun (بھنووں) par bhi phaire jayen . 4- Baayen hatheli ko Daayen haath ki tamam pusht par aur is ke baad Daayen hatheli ko Baayen haath ki tamam pusht par pherna .