تقلید کرنا کیوں ضروری ہے؟

Har Musalman ke liye usool deen ko az roye baseerat janna zarori hai kyunkay usool deen mein kisi tor par bhi taqleed nahi ki ja sakti yani yeh nahi ho sakta ke koi shakhs usool deen mein kisi ki baat sirf is wajah se manay ke woh un usool ko jaanta hai. Lekin agar koi shakhs islam ke bunyadi aqaed par yaqeen rakhta ho aur is ka izhaar karta ho agarche yeh izhaar az roye baseerat nah ho tab bhi woh musalman aur momin hai. Lihaza is musalman par imaan aur islam ke tamam ehkaam jari hon ge lekin"Musallamat-e-Deen" ko chhor kar baqi dinee Ahkamaat mein zarori hai ke insaan Yaa to khud Mujtahid ho, yani Ahkaam ko Daleel ke zariye haasil kere, Yaa az raah Ehtiyat apna fareeza yun ada kare ke usay Yaqeen ho jaye ke us ney apni sharai zimma-daar poori kar di hai. Lehaza jo ashkhaas nah to Mujtahid hon aur nah hi Ehtiyat par Amal-Pera hosakein to un ke liye wajib hai ke Mujtahid ki TAQLEED karen.