میں درزی کا کام کرتا ہوں۔ مالک ایک جوڑا بنوانے کے لیے کپڑا لاتا اگر اس میں سے کچھ بچ جائے تو ،کیا اس کپڑے کو استعمال کرسکتا ہے؟

Agar jo Kapra bach gaya hey wo itna kam ho kih wo kisi kam ka nah ho ya kapra zyadah bacha hey aur Malik ki rizayat ka elm ho (wo darzi janta ho keh agar yeh kaprey ka Tukra men istimal karun ya rakhun to Malik ijazat rakhey ga) Yaa Malik sey ijazat li ho, in tmam sooratoon mein wo bacha hua kapra rakh sakta hey aur istimal bhi kar sakta hey.