Taqleed sy kia muraad hy? Taqleed Kis tarah ki jaati hy?

Deeni Ahkamaat mein zaroori hai ke insaan ya to khud Mujtahid ho yani Ahkaam ko Daleel ke zariye haasil karey ya kisi Mujtahid ki taqleed kere ya az raah ahthyat apna fareeza yun ada kere ke usay yaqeen ho jaye ke is ne apni sharai zimma daar poori kar di hai . taqleed kisi bhi Jaami-us-Sharaait Mujtahid ke fatwe par amal karne ka naam hai. agar chih ain amal ke mauqa par Fatwa ka hawala nah diya jaye. Mujtahid ki raye ke mutabiq jis kaam ko anjaam dena jaaiz ho is ko ba-ghair kisi just-joo o tehqeeq ke anjaam den aur jis ko tark karna chahiye usay tark karen .