salam,ji apny pehny howey kpry kisi zarort mand ko de daina,kia ye jisam ki zakat he,hmari aksar khawateen zarort se ziyada kpry le laiti hn r pir onko ek 2dafa pehen k bant daina,pir kehti hn k ye jisam ki zukat he,kia aisa krna teek he.r wo kpry jo be shak ek dafa pehny r dosron ko de diye,wo hmary nama e ahmal mn hi likhy jaein gy na...

Pehney huwy kaprey ya koyi bhi aisi istimaal ki cheez Zaroorat-mandun ko dena achha hey, un ki zarooraten poori karna Thawab (Sawab) ka kam hey, Naiki Ap key Naama-e-Aamal men b likhi jaayegi, Laikin io kehna keh aisa karna Jismaani Zakat hey, durust nahin.