Hmary sath aik hi ghr men hmary cousins rehty hen wo b qafi bry hen hm sath paly brhy hen to is trha prda nhi krty jis trha lrki lrky krty hen mtlab nmaz prhty wqt agr wo achanak aa jaen aik ghr jo hai kmry sath sath hen to kia nmaz jaiz hoge aur kia wo na mehram hi hon gy un sy prda krna chahye pr is trha aik ghr men rehty hoye kesy?

Cousins Aapas mein Naa-Mahram hotey hein, in sey pardah karna wajib hey. is silsiley mein aik hi ghar mein yaa mukhtalif gharoon mein rehney ka hukam mukhtalif nahi. Nemaaz parhtey huwey cousin ya koyi aur naa-mahram dekhey to Sirf dekhney sey nemaaz baatil nahi hoti.