Sab Zakreen parte hain aur kitabon main likha hai k jab 313 sache Momneen ki taadad poori ho jaegi tu Maula Zahoor farmaenge. Deen mukammal hone k cheh dahayun k baad 72 jan nisaron ne Karbala saja lee aur Moula Hussain ne Deen Haq ko mitne se bacha liya. Magar aaj pandra sou saalon k baad bhi 313 Momneen tayar nahin ho sake k Aaqa Ka zahoor ho jae. Tu kia ham ye samjhen k Zahoor ko logon ne rok rakha hai. Kia ye baat boseeda nahin lagti. Mera khayaal hai k jis tarha hamen Qayamat ka nahin maloom k kab aegi sawe is k k jab Allah chahe ga. Ye jaise taqdeer hamain nahin maloom k hamari taqdeer main aage kia likha hai ye tu sirf Allah janta hai isi tarha Imam e Zaana A.S ka zahoor bhi bas Allah k hukm se hi ho ga. Hamara kam tu bas Deene haq pe chalne ki puri koshish karte rahna hai. Zahoore Imam Allah par chor k bohat saari aur bhi baaten hain masael ke ambaar hain jis par tawajjo deni ki zaroorat hai. ( Muaashrati masael hain, Maeeshati massael hain, Taalemi masaael hain jis main deeni aur jadeed taleem, Sahat k masaael hain, Kirdaar saazi aur insaan sazi ki simt main kam karne ki zaroorat hai jahan be shumar massael ka sama hai. Hamare har aalim ko aur har zakir ko koi na koi job zaroor karni chaheye. Jaise woh clerk, doctor, engineer, accountant, lawyer, tailor, painter, teacher, ya teejaarat kar sakta hai. Jaise koi khajoor beche ya carpenter ka kaam kare ya truck chalae ya hasbe istetaat chahe tu bara karobaar kare. Magar apna rizq sir deen se wabasta kar lena theek nahin. Is par sab ko sochna chahe aur ek inqilaab lane ki zaroorat hai.

imam zamana as k 313 numaindy chai jo har healy sy, eman taqwa,seyast ,baseerat ,shujat ,me kamil agr msoom as ki trah ka na to kam az kam salman farsi ra abuzar ghafari ra jasy numaindy drakar he baz e rewayat me he ki us door me muslim countries ki tedad 313 hongy aur har mulk me imam as ka numenday hoga aur numyendy ke followers be to ho agr sary kay sary na ho to zyada tar hona chai lehaza is trah k numaeidy darkar he agr 313 pory hain be shi balki usy zeada ho lkin un kay followers ki zaroot he taki ejaz sy nhi ik hedayt kay zarea sy hukumat qaim kry beharul anwar jeld no 13 abqareen hesan wagher me ap mulaheza kr sakty hain umeed karty hain ap ko en swalong ka jwab mel gya hoga wazeh na hony ki soorat me ap dubara swal kr sakty hai inshallah hum ap kay khedmat kay ly hazir he jazakallah