Khums deney ka kia tareeqa hai ,Maal e Sadaat k hawalay se bata den?"

Jo maal khms ke tor par nikala jata hai zaroori hai ke usay do hisson mein taqseem kya jaye, us ka aik hissa Sadaat ka haq hey aur zaroori hai ke kisi faqeer syed ya yateem syed ya aisay syed ko diya jaye jo Safar mein nachaar hogaya ho. aur dosra hissa Imam a.s. ka hai jo zaroori hey keh mojooda zamane mein Jaam-ius-Sharaait Mujtahid ko diya jaye ya aisay kamon par jis ki woh Mujtahid ijazat day kharch kya jaye.