1. "wazo krty howey agr wash baisan se cheintein kpron pe par jaein to kia wo cheintein na pak hn?r libaas ko namaz prhny se pehly dhona ya badlna zarori he k ni....? 2. agr baramda jis mn dhoop ni parti r oska farsh kachi mitti ka ho r chota bacha 2 3sal ka pishaab kr de.r zameen jazab kr jaey r boo b na aey jb k whan dhop ni parti to kia os jagga pe musalah bichaa k namaz parhi ja skti he ya wo jaga pak ni? 3. kia hath dhoty howey bismilah parhy bgair hath pak ni hoty.mn ne aksar khawteen ko khany peeny k bartano ko dhoty howy zor zor se kalma prhty daikha he.kia kalma prhy bagair sirf pani se dhony se hath ya bartan ya nijas kapry pak ni hoty. 4. agr kisi bartan ko kutta monh laga jaey to os ko kitni dafa dhony se wo pak ho ga? 5. aksar gaaon mn chon k khuly sehen hoty hn to kutty wagairA sehen se guzar jaty hn.kia sirf kutty k guzarny se jaga napak ho jati he?"

1. Chheentein Paak hen, Nemaaz k liye Dhona yaa Badalna Zaroori nahi. Agar Wash Baisan najis ho aur Pani Jaari Nah ho Qaleel pani sy wozo kar raha/rahi ho, Yaa Najaasat k zarrat kalprey par parney baarey men Jaanta ho to Chheentein Najis hongi. Chunkih aksar wash waisan k sath Nalkey ka pani hota hey, to agar wash baisan Najis ho to bhi Jaari pani ky sath wozo karty huwey chheentein lag jaayen to najis nahi hy. 2. Jaga to Najis hy, Laikin Agar wo jagah Geeli Nah ho (Khushk ho) to us jaga par Nemaaz Parhi Jaa sakti hey, Nemaaz me Sirf Sajda karny ke jaga ka pak hona Zaroori hy (agar-chi Khushk hi Qu nah ho), abhi swal k faraz par Nemaazi ny Musallaa bichhaya ka nemaz parhi hy to sajda gaah bhi pak ho gia, Nemaaz Saheeh hy. 3. Najis Haath/Najis Libaas/Najis Bartan dhotey huwey Bism-i-Allah Yaa Kalma parhna Zaroori nahi hy. Sirf Dhoney sy Paak ho jata hy. 4. Jis Jaga sy Kutta guzarta hey wo jaga martoob/Geeli ho to Jahaan jahaan sy kutta guzra hy wo jaga najis hogi, agar Jagah Khushk ho to wo jaga Najis nahi hogi.