Who We Are
Aaj ke daur mein print, social aur electronic media par ghair dinee anasir ka control hai aur woh ghalat, fasid aur ikhlaq soaz batoo aur manazair ko is andaaz se paish karte hain ke har tabqa is ghair islami saqafat aur tehzeeb ko pasand karne lagta hai, muashray ko is saqafati yalghar se bachana deendar tabqay ki awleen zimma daari hai. In ghair dinee anasir ko jadeed aur muasar zaraye se hi shikast day kar muasharti aqdaar ko bachaya ja sakta hai.
Is silsilay mein mumlikat e khudadad Pakistan mein Ustazul Ulama Sheikh Mohsin Ali Najafi Daam Izah ki sarparasti mein dinee, Ilmi , saqafati, tablighati sar garmion aur masharti behbood mein Jamiatul Alkauthar, Islamababad aik jehed musalsal ka namona nazar aata hai jo ke dinee o asri taleemi idaron ka qiyam aur electronic media (Hadi TV Satellite Channel) kay zariye saqafati yalghaar ka muqaabla aur senkron behbood aama ke mulak geer iqdamaat kar raha hai. Inhi iqdamaat mein aik qadam deen fehmi aur talemaat e Quran o Ahlulbait (AS) aur maarif e Islamia se aagahi haasil karne mein momineen ki madad aur sahoolat ke liye Hadi Help Line ka qiyam hai. Jahan aap apne dinee aur fiqhi sawalaat bhaij kar bohat aasani se jawab haasil kar satke hain.
Our Commitment
Aap ke masail ka hal aur sawalaat ka jawab bar waqat dena hamari awaleen tarjeeh hai aur is ke liye tamam mumkina wasail barooay kar laaye jatay hain.
Hamaray Ulema e karam tamam sawalaat ke jawabaat aur masail ke hal Ayema Athaar (AS) say manqool ahadees aur Maraji Uzam kay fatawa ki roshni mein intehai zimma daari se dete hain.
Know Your Islam
Aqaed
Har shakhs kisi na kisi mazhab ka peirokaar hota hai. koi musalman hai to koi isaai, koi yahodi hai to koi hindu, Quran mein khudawand kareem irshad farmata hai : “khuda ke nazdeek to deen islam hi hai” (al-Imran : 19). Isi terhan aik aur maqam par irshad rab ulizzat hai : “aur jo islam ke ilawa kisi aur deen ki pairwi kere ga to woh qabil qubool nahi” (al-Imran : 85).
Har deen ke do hise hotay hain, aik hissa deen ki jarrain aur dosra hissa shaakhen kehlata hai, deen ki jaroon ko usool deen aur shaakhon ko Faroo deen kaha jata hai. Jab kisi darakht ki jarrain kharab ho jayen to is darakht ki shaakhen bhi theek nahi reh sakteen pas agar hum chahtay hain ke hamaray Faroo deen namaz, roza waghera qubool hon to hamein usool deen ko durust karna ho ga, usool deen ko daleelon ki bunyaad par samjhna zurori hota hai.
Learn MoreAhkaam
Islam aik jame zabita hayaat hai jis mein zindagi ke tamam mumkina halaat se mutaliq rahnuma usool diye gaye hain aur koi aisa mauqa ya halat nahi hai jis se mutaliq Islami ehkaam khamosh hon khusoosan maktaba ahlul-bayt (AS) mein, kisi ensaan ko kisi bhi haalat mein pareshani ka saamna karna hi nahi parta. Lekin un tamam rahnma usoolon ko jo insani zindagi ke tamam mumkina halaat ko ihata kar rahay hain aik aam ensaan khud se samajhney ki salahiat nahi rakhta.
Allah taala kay khaas tofeq yafta afrad Islami talemaat ko barri bareek beeni aur ahthyat se samajh kar hum taq pohanchati hain, isi ka naam ijtehaad hai aor hum un ke betaye hue farameen par amal karte hain isi ka naam taqleed hai. Ijtehaad aur taqleed imam Zaman (Aleh-Salaam) ke daur e gheebat mein wajib amal hain.
Learn MoreAkhlaq
Ikhlaqiat har mazhab mein paye jatay hain aur tamam mazhab rehne sehney aur muashrat ke qawaneen o zawabit rakhtay hain. Mazhab e Islam ka khaasa yeh hai ke is se behtar talemaat o ikhlaqiaat kisi aur mazhab mein mojood nahi, shariat e islam mein ikhlaqiat ki ahmiyat ke liye itna hi kaafi hai ke Allah taala neh Rasool e Akram (SAWW) ki tareef mein is sift ko khas tor par bayan farmaya, irshad hota hai, “aor be shak aap ikhlaq ke azeem martabay par faiz hain” (Al-Qalam: 4).
Aur khud Rasool e Akrm (SAWW) neh bhi irshad farmaya : “be shak mujhe makram e ikhlaq ki takmeel ke liye maboos kya gya”. Ikhlaq, Islam se hut kar koi alehida cheez nahi balkay Islami Aqaed aur Ahkam ka amli namona Ikhlaq kehlata hai, yani ikhlaq ka kuch hissa khaaliq aur kuch hissa makhlooq ke sath talluq rakhta hai.
Learn More