ہم سفر میں کسی غیر مسلم علاقے میں ہو اور قبلہ کا پتہ نہ ہو تو نماز کیسے پڑھے؟

Agar kisi ke paas Qiblay ka rukh mutayyan karney ka koi zareya nah ho ( maslan Qutub-numa ) ya koshish ke bawajood is ka gumaan kisi aik taraf nah jata ho to is ka kisi bhi taraf Rukh kar kay Nemaz parhna kaafi hai aur Ehthiyat-e-Mustahab yeh hai ke agar namaz ka waqt wasee ho to chaar Nemazain charon taraf Rukh kar ke parhay ( yani wohi aik namaz chaar martaba aik aik simt ki janib Rukh karkay parhay ) .